Android ya IOS app free me Monetize karke paise kamana chahte hai to iss post me aapko batane Wala hu ki admob account kaise banaye aur admob se paise kaise kamaye aur AdMob se paise kaise kamaye
How To Make AdMob Account AdMob Account Kaise Banaye Hindi Me
AdMob Ek Aisa platform Hai jis ki madad se aap apne Android or iOS app ko Badi hi aasani se monetize kar sakte hai aur admob account banane ke liye aapko sirf ek Gmail address Ki Zaroorat hoti hai
Agar aap soch rahe hain ki admob Account banane ke liye Hame approval ki bhi jarurat Hogi toh me aapko ye bata du ki AdMob me Account banane ke liye kisi bhi approval process ki jarurat nhi hoti hai
Google admob account banane ke liye Aapko Kisi bhi threshold ya approval Ki Zaroorat Nahi Hoti Hai Toh isme aap sirf apni kuch details enter Karke Apna new admob account bana sakte hain
Wo bhi bina approval ke to main aapko Thoda Aur detail Mein Bata deta hoon Jis Se Aap Ko Koi pareshani Na Aaye!
Ab ek aur page open hoga jisme Aapko apna ek Mobile Number Provide karna hai, mobile number enter karne ke baad aapko ek message milenge jisme ” Six Digit AdMob Verification Code” hoga use enter karne ke baad aap Continue par click kare!
So ye to maine apko AdMob Account kaise banaye bataya hai ab me aapko bataunga ki aap iss AdMob se paise kaise kama sakte hai
AdMob Se Paise Kaise Kamaye?
AdMob se paise kamana koi badi baat nhi bahut se log AdMob ke jariye apnde android ya IOS app me AdMob ads place karke AdMob se paise already kama rahe hai
Aapko AdMob se paise kamane ke liye kya karna hoga shayad aap yahi socha rhe hai toh dosto me aapko bata du ki aap bhi ek professional app khud bana sakte hai
AdMob Account Kaise Banate hai?
Admob account banane ke liye Niche diye gaye AdMob banane ke steps ko follow karte rahe
- AdMob Account banane ke liye sabse pahle aapko AdMob ki official site ko open karna hai hai
- AdMob ki site open karne ke baad aapko apko top left corner se SignUp button par click karna hai
- Apko yaha par apne Gmail account se sign in karna hoga aur agar gmail nhi hai to aap gmail account create karke dobara signup par click karke apna Addmob account bana sakte hai
Note: Dhyan rahe AdMob Account banane ke liye aapko ek gmail address ki jarurat hogi, jisme aapki age 18 saal honi jaruri hai! Aur AdMob Privacy Policy me ye hi likha hai
- Gmail Se Login karke ke baad aapko ek form fill karna padega jisme aapko apni details enter karna padega jaise ki
- Country
- Time Zone
- Billing Currency
- Ye detail enter karne ke baad aapko Google AdMob ke Privacy Policy Ko accept karna hai aur Uske baad “Create AdMob Account” par click kare!
Aap jaise hi Create Admob Account par click karegege to aapka Account successfully Created ka message aapko apke screen par dikhega aur ab aapko ek AdMob Account successfully ban jaane ka mail bhi mil jayega!
Congratulation aapne apna AdMob Acotr Create karna sikh liya hai
Lekin abhi kaam poora nhi hua hai abhi aapke samne ek aur page open hoga kisme kuch cheezo ko aapko tick karna padega, wo aapki marzi hai aap yes bhi kar sakte hai aur No par bhi tick kar sakte hai
Tick karne ke baad apko Continue To AdMob Account par click karna hai
Internet par aapko aisi bahot saari website mil jayengi jinki madad se aap apna android ya IOS app banane ke sath sath free me AdMob ads bhi laga sakte hai
Kuch websites me aapko recommend karunga jiski madad se aap apna khud ka android ya IOS app build karke unme apne AdMob ke ads place karke AdMob se hazaron lakhon rupey kama sakte hai
- Makeroid
- AppyBuilder
- Thunkable
- Appsgayser
Ye wo sabhi websites hai jo aapko apna app banane me madad karegi inse aap apani android ya IOS app free me build kar sakte hai
Agar aap apna android app nhi bana sakte to aapane freelancer ya fiverr jaisi websites se apne liye ek app developer hire kar sakte hai jo aapko apke pasand ke anusar app build karke dega
So ummed karta hu ki aapne apna AdMob Account successfully bana liya hoga! Ab aapko pata chal gaya hoga ki AdMob Account Kaise Banate hai aur AdMob se paise kaise kamaye
Hi, this is a comment.
To get started with moderating, editing, and deleting comments, please visit the Comments screen in the dashboard.
Commenter avatars come from Gravatar.