Hello Friends, Kya aapne kabhi socha hai ki youtube se log paise kaise kama sakte hai aur agar aap bhi ye jan na chahate hai to aap hamare iss post dhayn se read kariye.
YouTube se paise kaise kamaye? How to Earn from YouTube ?
YouTube ek aisa platform hai jo aapko bina kisi bhi charge ke aapko acchi khasi earning karne me help karta hai. YouTube ki madad se aap famous ho sakte hai aur iske sath sath aapko accha paisa kamane ka mauka bhi milta hai.
Aaj k time me youtube platform me competition kaafi jyada ho chuka hai aur isse hi aap saaf samajh sakte hai ki is platform par grow karne k liye aapko kuch alag karke dikhana hoga. Aapko kuch unique content users k liye lekar aana padega jisse aapki apni ek alag pahchan bane.
Be Confident and Motivation
Jaisa ki maine pahle ki kaha hai ki youtube par competition bahot jyada badh gaya hai to aapko apne youtube channel grow karne me kaafi jyada waqt bhi lag sakta hai isliye aapko haar nhi man na hai aapko hamesha apne ke liye motivated aur Confident hona chahiye
Maine aapko thoda sa YouTube ke baare me batane ki koshish hi ab ham log main topic par aate hai jo hai youtube se paise kaise kamaye
YouTube par paise kaise kamaye
Agar aap youtube se paise kamana chahate hai to aapko sabse pahle ek youtube channel banana padega warna aap youtube par apni videos publish nhi kar payenge to chaliye dekh lete hai ki youtube channel kaise banaye
1. Sabse pahle apko YouTube ki official site par jana padega
2. Apko top right corner se signin button par click karna hai
3. Ap existing gmail account se login kar lijiye ya aap ek naya gmail bhi bana sakte hai
4. aap signin kar lenge to aap wapas youtube ki home screen par redirect Kar diya jayega
5. top right corner par aapko apne Gmail account ka profile photo show hoga uspar click kare
6. ab aapko “Create a Channel” par click kare
7. ab aapke samne ek Pop-up window open hoga jisme aapko apna name show ho rha hoga aap chahe to apne name se bhi youtube channel bana sakte hai ya aap ek brand name se channel bana sakte hai
Done! Apne apna youtube channel successfully create kat liya hai
Lekin abhi kaam poora nhi hua aapko sirf channel se banane se hi paise nhi milenge aapko apne talent aur knowledge ko logo ke samane lana hoga, aisa karne ke liye aapko uniqyu youtube videos banana hoga
Kyuki competition ki baat karu to log aajkal sirf ek dusre ko dekhkar same topic par content bana dete hai hai jo bilkul bhi faydemand nhi hota hai
To ye bhi jaruri hai ki aap apne youtube channel ko jaldi grow karne ke unique videos banaye jo abhi tak kisi ne nhi banaya ho
YouTube par paise kamane ke liye kya Eligibility hai?
YouTube se paise kamana shuru karne k liye aapko youtube ke eligibility criteria ko follow karna hoga. Youtube ne march 2017 me ek policy lagu ki jiske hisab se agar aapke channel me Lifetime 10,000 Thousand Views nhi honge to aapka channel Monetization ke liye eligible Nhi hoga aap apne videos par ads nhi show kara payenge.
Iske kuch samay baad YouTube ne 16 January, 2018 ko apni policy ko revise kiya, aur nayi policy k hisab se aapko apne channel par 1 year me 4000 Hours Watchtime aur 1000 Subscribers ki jarurat hogi
What is Watch Time ? WatchTime kya hota hai?
YouTube me watchtime tab milega jab aapki videos ko log dekhenge, jab viewers aapke videos ko play karte hai aur kitani der tak aapki video ko dekhte hai usi ko watchtime kahte hai
Ab aapko sirf apne youtube channel par Regularly videos upload karna hai aur ye dhyan rakhiye agar aap youtube par kaam kar rahe hai to initial level par aapko views kam mil sakte hai lekin aap apna unique content lagatar post karte rahiye jisse aapko success jarur milegi.
Lekin aapko aapka kaam Continue rakhna hai aur jyada views gain karne ke liye aapko apne videos ko unique bana padega aur social media jaise facebook , twitter etc par share karna hoga
YouTube Par Adsense ke alawa paise kaise kamaye ?
YouTube ek bahot hi achha platform hai, Aap youtube par Paid Promotion, App Review, Software Review etc ki madad se bhi acchi earning (Earning Money) kar sakte hai aur iske sath hi aap YouTube ke best method ka bhi use kar sakte hai jo ki affiliate marketing hai jisme aap products review k sath sath unhe apne reference k through sale karke bhi acchi earning kar sakte hai.
#howtoearnmoneyfromyoutube #makemoneyfromyoutube #youtubeearningsolution #youtubeearningoptions #earningoptions