How to Earn Money from Coupons and Deals Website ?
Coupons And Deals Website se Earning Kaise Kare ?
Coupons and Deals ki kayi saari Websites aapne kayi baar visit ki hogi Lekin kya aapne kabhi socha hai ki wo website hamein coupons and deals ki jankari dekar khud kaise aur kitna kamati hongi to aaiye aapko hm batate h iski puri jankai:
Coupons and Deals Website Earning Ke Source:
- Ads – Adsense
- Affiliate Marketing
Ads aur Adsense ye sources har kisi website par apply ho sakte hai, website kisi bhi tarah ki ho wo Adsense se earning kar sakta hai. Normal website bhi affiliate marketing se earning karte hain lekin Coupons and Deals Website ke Liye Affiliate Marketing Earning ka main source hota hai.
Coupons and Deals website par hamein Discount Coupons and shopping deals ki kafi saari jaankari di jaati hai, Jaise aapko Amazon se kuch kharidna hai to kuch coupons ya acchi deals mil jaye fir aap google per search karte hai aur is taraf ki sites par pahunch jaate hain. wo website aapko coupons ya deals ki information dene k sath aapse uski deals wali link ko follow karwake Amazon ya doosre website par bheja jata hai jisse unki bhi kafi acchi earning ho jati hai.
Is options se aapne jo product khardina tha wo to kharida hi but acchi deals pane ke liye aapne uske Deals ke link ko follow kiya or amazon ya flipkart se koi product kharid liya iske liye Amazon ye flipkart Us website ko aapki purchased ka kuch hissa commission ke roop me degi.
Commission Percentage website aur product type ke upar alag alag ho sakta hai jo ki 30% – 50% tak ka commission hota hai jiski jankari aapko amazon ya flipkart k affiliate program me mil jati hai.
Thanks,
Earning Options
Right Place for Opportunities